Me nafraton ke jahan me reh kar, Juda rahoonga to kya karoonga
Ye theek kehte ho bewafa hun, wafa karunga to kya karoonga
Bus ek tu he to reh gya he, jahan Saara to kho chuka hun
Tujhe bhi apni ana me aa kar, khafa karoonga to kya karoonga
Hazaar sajde to kar chuka hun, qaza tumhari mohobbaton ke
Me ab dikhaave ka koi sajda, Ada karoonga to kya karoonga
Baghair pani bhi koi machli, bhala kabhi reh saki he zindah
Me tujh ko kho kar, kisi ka ho kar, bta karoonga to kya karoonga
No comments:
Post a Comment